jaane kis KHak se gundhe hue hain
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
jaane kis khak se gundhe hue hain
raqs-e-beja mein sab lage hue hain
khud se raqsan nahin hue hain log
sab kisi dor se bandhe hue hain
koi harkat mein lae jo un ko
khub thirkenge jo ruke hue hain
na koi dil na khwahish-e-dil hai
phir musibat mein kyon pade hue hain
dor kaghaz qalam ki hai 'tasnim'
lafz ki putliyan bane hue hain
raqs-e-beja mein sab lage hue hain
khud se raqsan nahin hue hain log
sab kisi dor se bandhe hue hain
koi harkat mein lae jo un ko
khub thirkenge jo ruke hue hain
na koi dil na khwahish-e-dil hai
phir musibat mein kyon pade hue hain
dor kaghaz qalam ki hai 'tasnim'
lafz ki putliyan bane hue hain
56823 viewsghazal • English