jaane kis khwab ka sayyal nasha hun main bhi ujle mausam ki tarah ek faza hun main bhi han dhanak tut ke bikhri thi mere bistar par ai sukun-lams tere sath jiya hun main bhi rah pamal thi chhod aaya hun sathi sote kori mitti ka gunahgar hua hun main bhi kitna sarkash tha hawaon ne saza di kaisi kath ka murgh hun ab baad-numa hun main bhi kaisi basti hai makin jis ke hain budhe bachche kya muqaddar hai kahan aa ke ruka hun main bhi ek be-chehra si makhluq hai chaaron jaanib aaino dekho mujhe maskh hua hun main bhi hath shamshir pe hai zehn pas-o-pesh mein hai 'raaz' kin yaron ke ma-bain khada hun main bhi