jaane kya kuchh soch liya nadani mein
By asim-qamarFebruary 25, 2024
jaane kya kuchh soch liya nadani mein
aur phir 'arsa bit gaya hairani mein
chhune bhar se ruh chamakne lagti thi
shayad nur basa tha us peshani mein
hosh aur khwab ne apni apni koshish ki
banda tut gaya is khincha-tani mein
ek ladki ka jism chadha tha doli par
ek ladke ka jism gira tha pani mein
mujh mein aur ziyaada andar mat aao
ek aaseb ka ghar hai is virani mein
chahe sab kuchh dekhe phir bhi jate waqt
tis bachi rah jati hai sailani mein
aur phir 'arsa bit gaya hairani mein
chhune bhar se ruh chamakne lagti thi
shayad nur basa tha us peshani mein
hosh aur khwab ne apni apni koshish ki
banda tut gaya is khincha-tani mein
ek ladki ka jism chadha tha doli par
ek ladke ka jism gira tha pani mein
mujh mein aur ziyaada andar mat aao
ek aaseb ka ghar hai is virani mein
chahe sab kuchh dekhe phir bhi jate waqt
tis bachi rah jati hai sailani mein
87151 viewsghazal • English