jaane kya phir ji mein aai chal paDe
By pragya-sharmaJune 7, 2021
jaane kya phir ji mein aai chal pade
hum ne ek cigarette jalai chal pade
ghaib se aai thi hum ko ek sada
chhod kar sari khudai chal pade
is se pahle rokte diwar-o-dar
aag khud ghar ko lagai chal pade
aaj jaane ka kahin dil to na tha
bas kisi ki yaad aai chal pade
is qadar thi rahguzar se nisbaten
jab safar ki baat aai chal pade
shab gae aawaz ek aai hamein
hum ne bhi himmat jutai chal pade
jaante the aakhirat ka hai safar
aa gai sham-e-judai chal pade
hum ne ek cigarette jalai chal pade
ghaib se aai thi hum ko ek sada
chhod kar sari khudai chal pade
is se pahle rokte diwar-o-dar
aag khud ghar ko lagai chal pade
aaj jaane ka kahin dil to na tha
bas kisi ki yaad aai chal pade
is qadar thi rahguzar se nisbaten
jab safar ki baat aai chal pade
shab gae aawaz ek aai hamein
hum ne bhi himmat jutai chal pade
jaante the aakhirat ka hai safar
aa gai sham-e-judai chal pade
21730 viewsghazal • English