jaane kyon mohabbat mein dilkashi nahin milti dost roz milte hain dosti nahin milti zindagi agar chaho faqa-mast ban jao roghni niwalon se zindagi nahin milti maslak-e-faqiri mein jo khushi mayassar hai takht-e-baadshahi par wo khushi nahin milti adh-khuli kali shayad baghban ne phir todi kyon gulon ke chehron par tazgi nahin milti un ko koi samjhae apna jaeza le len jin ko apne sajdon mein chashni nahin milti dil mera andhere mein aaj bhi bhatakta hai raushni ki duniya mein raushni nahin milti zard zard chehre hain khauf-e-marg se 'alam' ab to koi bhi surat chand si nahin milti