jaane phir tum se mulaqat kabhi ho ki na ho khul ke dukh-dard ki kuchh baat kabhi ho ki na ho phir hujum-e-gham-o-jazbaat kabhi ho ki na ho tum se kahne ko koi baat kabhi ho ki na ho aaj to ek hi kashti mein hain manjdhaar mein hum phir ye majburi-e-haalat kabhi ho ki na ho ahd-e-mazi ke fasane hi suna len tum ko itni khamosh koi raat kabhi ho ki na ho jo jalata hai mere gham ke andheron mein charagh mere hathon mein wahi hat kabhi ho ki na ho