jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
By midhat-ul-akhtarNovember 6, 2020
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
waqt ke sath khad-o-khal badal jate hain
jo na badle wahi taswir purani de ja
tere mathe pe mera nam chamakta tha kabhi
un dinon ki koi pahchan purani de ja
jis ki aaghosh mein kat jaen hazaron raaten
meri tanhai ko chhu kar wo kahani de ja
rakh na mahrum khud apni hi rifaqat se mujhe
aaina mujh ko dikha de mera sani de ja

72169 viewsghazal • English