jab amn ke aasar dekhte hain

By abdul-wahab-sukhanApril 24, 2024
jab amn ke aasar dekhte hain
mahaul sharar-bar dekhte hain
hai farz yahan kis pe shahryari
sab apni hi dastar dekhte hain


aaina to sab dekhte hain lekin
hum aaina-bardar dekhte hain
main mil ka patthar hun mujh ko rahraw
mud mud ke kai bar dekhte hain


jo log the badnam shahr bhar mein
wo log bhi kirdar dekhte hain
wo haar mein bhi sharmsar hai kab
hum jit mein bhi haar dekhte hain


hai khub 'sukhan' ishq-e-nek-tinat
hum ruh ko sarshaar dekhte hain
49858 viewsghazalEnglish