jab apne dil pe apna kuchh ikhtiyar dekha begana-khu hasin ko begana-war dekha paiham tajalliyon ki mujh mein sakat kahan thi nazren chura chura kar sue-nigar dekha aaj apni be-khudi ko irfan ki raushni mein us mah-e-sim-tan ka aaina-dar dekha teri inayaton se anjam-bin nazar mein aaghaz-e-ishq hi mein anjam-e-kar dekha ye bholi bholi surat ai chand phir bhi tu ne meri taraf se apne dil mein ghubar dekha husn-e-shabab-parwar kis darje sehar-za hai dekha tera zamana ai gul-e-ezar dekha us shokh ki gali mein manzur-e-tafta-jaan ko phir be-qarar paya phir ashk-bar dekha