jab apni ruh ke ahwal mein shamil nahin samjha
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
jab apni ruh ke ahwal mein shamil nahin samjha
ta'alluq todne ke bhi use qabil nahin samjha
'ajab dar tha na khulne par bhi us ka faiz jari tha
'ajab khairaat thi jis ko koi sail nahin samjha
sabhi samjhe mujhe us se juda hone ki jaldi thi
koi bhi dekhne wala meri mushkil nahin samjha
mohabbat ke siwa bhi hain bahut se masale us ke
dimagh is baat ko samjha hai lekin dil nahin samjha
kabhi is aasman ki dilkashi mein gum nahin hota
kabhi soe hue dushman ko main ghafil nahin samjha

86205 viewsghazal • English