jab bahaya hi nahin aankh se pani maine

By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
jab bahaya hi nahin aankh se pani main ne
ek hi lafz mein likh di hai kahani main ne
zabt tufan ka tuta na kabhi sine mein
rok rakkhi hai samundar ki rawani main ne


shabd be-khauf kitabon mein utare main ne
phir kitabon pe jami khak bhi chhani main ne
mujh ko wijdan tha sailab ne to aana hai
dekh li khwab mein is sham nishani main ne


aarzuon ne mere dil mein tabahi kar di
phir kisi chah ki ummid na thani main ne
tu ne samjha tha mujhe aaj bhi pagal hun wahi
'adaten chhod din jitni thi purani main ne


kya bataun main use 'umr-e-gurezan se 'umud'
sikh li dasht mein ab khak udani main ne
76660 viewsghazalEnglish