jab bhi aankhon mein teri rukhsat ka manzar aa gaya aaftab-e-waqt neze ke barabar aa gaya dosti ki jab duhai di to sharq-o-gharb se hath mein patthar liye yaron ka lashkar aa gaya is safar mein go tamazat to bahut thi hijr ki main teri yaadon ki chhanw sar pe le kar aa gaya go zamin-o-asman masruf-e-gardish hain magar jab bhi gardish ka sabab socha to chakkar aa gaya aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage us ke qabze mein jab ek zarre ka jauhar aa gaya husn-e-insan dafn ho jaane se mitta hai kahan phul ban kar khak ke parde se bahar aa gaya ashk jab tapke kisi bekas ki aankhon se 'nadim' yun laga tufan ki zad mein samundar aa gaya