jab bhi KHalwat mein wo yaad aaega

jab bhi khalwat mein wo yaad aaega
waqt ka sail thahar jaega

chand tum dekh rahe ho jis ko
ye bhi aansu sa dhalak jaega

ek do mod hi mud kar insan
baam-e-gardun ki khabar laega

main ne dekhe hain chaman be-parda
koi gul kya mere munh aaega

husn se dur hi rahna behtar
jo milega wahi pachhtaega

aur kuchh der sitaro thahro
us ka wada hai zarur aaega

un ki zulfon ki mahak le 'danish'
is dhundalke ko kahan paega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close