jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamanna kaun kare ab hijr ke sadme sahne ko patthar ka kaleja kaun kare in lambi lambi raaton ka mar mar ke sawera kaun kare hum rasm-e-wafa ko mante hain aadab-e-mohabbat jaante hain hum baat ki tah pahchante hain phir aap ko ruswa kaun kare ai jazba-e-ulfat tu hi bata kuchh had bhi hai is nakaami ki mayus nigahon se un ka mahfil mein nazara kaun kare hum dekh chuke han dekh chuke dastur tumhaari mahfil ka jab shukr pe ye pabandi hai phir jurat-e-shikwa kaun kare