jab ham-kalam humse hota hai pan kha kar

jab ham-kalam hum se hota hai pan kha kar
kis rang se kare hai baaten chaba chaba kar

thi jumla-tan latafat aalam mein jaan ke hum to
mitti mein at gae hain is khak-dan mein aa kar

sai o talab bahut ki matlab ke tain na pahunche
na-chaar ab jahan se baithe hain hath utha kar

ghairat ye thi ki aaya us se jo main khafa ho
marte mua pe hargiz udhar phira na ja kar

qudrat khuda ki sab mein khalul-izar aao
baitho jo mujh kane to parde mein munh chhupa kar

arman hai jinhon ko we ab karen mohabbat
hum to hue pashiman dil ke tain laga kar

main 'mir' tark le kar duniya se hath uthaya
darwesh tu bhi to hai haq mein mere dua kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close