jab hamara ishq ek gul par ayan hone laga

By shajar-abbasJune 17, 2022
jab hamara ishq ek gul par ayan hone laga
to jigar gulshan mein kharon ka dhuan hone laga
jab se meri jaan main tera raazdan hone laga
dushman-e-jaan mera meri jaan jahan hone laga


sehn-e-dil mein aamad-e-jaan-e-tamanna ho gai
sehn-e-dil dekho mera bagh-e-jinan hone laga
hazrat-e-adam ki jab aulad hain hum sab to phir
kyon fulan ibn-e-fulan ibn-e-fulan hone laga


dastan-e-gham bata jaan-e-wafa kis se kahen
dard-e-dil dard-e-jigar ab dard-e-jaan hone laga
nam pe ab ishq ke mitti hai jismon ki hawas
khatm sachche ishq ka nam-o-nishan hone laga


tu difa karna dil-e-nazuk ki mere kibriya
jaanib-e-rah-e-muhabbat dil rawan hone laga
hasrat-e-didar-e-jaan-e-jaan ki khatir dekhiye
qalb mera doston qalb-e-tapan hone laga


khatm sare dekhiye aasar-e-mahshar ho gae
aaftab-e-hashr nazron se nihan hone laga
mubtala hai soch mein ye dekh ke duniya 'shajar'
kyon musalla chadar-e-ab-e-rawan hone laga


34025 viewsghazalEnglish