jab kabhi aaya to zikr-e-mai-e-gulfam aaya
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
jab kabhi aaya to zikr-e-mai-e-gulfam aaya
kufr aaya tere rindon ko na islam aaya
phir kahan bhag ke jaenge ye tere wahshi
gar teri zulf ke sae mein na aaram aaya
hum to barbaad the barbaad hi hona tha hamein
kyon teri chashm-e-'inayat pe ye ilzam aaya
si liye honth ki andesha-e-ruswai tha
phir bhi har sans mein chhup-chhup ke tera nam aaya
baat to jab hai bane aaj koi mera harif
'ishq mein jaan ganwa dene ka hangam aaya
mai-kade se jo chale dar-o-rasan tak pahunche
aaj ye pi ke bahakna bhi bahut kaam aaya

84879 viewsghazal • English