jab kabhi hijr ke aasar nazar aate hain
By shazia-niyaziFebruary 29, 2024
jab kabhi hijr ke aasar nazar aate hain
hum usi waqt se bimar nazar aate hain
us ko bhi raat ki rani ne magan rakkha hai
meri khidki se bhi ashjar nazar aate hain
sab ne banduq uthai hai hamari jaanib
ek tum ko hi wafadar nazar aate hain
aap se 'ishq to mansub nahin ho sakta
aap waise bhi samajh-dar nazar aate hain
jaan lene ki suhulat hai mayassar us ko
mujh ko bhi khwab mein hathiyar nazar aate hain
parsai se thi pahchan kabhi basti ki
ab to har samt gunahgar nazar aate hain
dekhne walon ki aankhon mein chubhan hoti hai
hum jo ek sath chamakdar nazar aate hain

24571 viewsghazal • English