jab kabhi honge to hum mail-e-gham hi honge aise diwane bhi is daur mein kam hi honge hum to zakhmon pe bhi ye soch ke khush hote hain tohfa-e-dost hain jab ye to karam hi honge bazm-e-alam mein jab aae hain to baithen kuchh aur bas yahi hoga na kuchh aur sitam hi honge jab bhi barbaad-e-wafa koi nazar aae tumhein ghaur se dekh liya karna wo hum hi honge koi bhatka hua baadal koi udti khushbu kaun kah sakta hai ek din ye baham hi honge