jab kabhi yunhi sanak jata hun main

By masroor-shahjahanpuriNovember 21, 2021
jab kabhi yunhi sanak jata hun main
shaeri mein dakhl farmata hun main
dhund leta hun radif-o-qafiye
baith kar phir sher farmata hun main


dhang ki mil jae gar koi zamin
dur tak phir pair phailata hun main
hijr mein bigdi hai apni shakl yun
dekh kar aaina dar jata hun main


jab koi kahta hai tum se pyar hai
ped par ghabra ke chadh jata hun main
ab nasihat ka asar hota nahin
kis qadar naseh ko samjhata hun main


khub karta hun main sab par eatibar
aur dhoka barha khata hun main
khalq ko masrur karna kaam hai
aur miyan 'masrur' kahlata hun main


80810 viewsghazalEnglish