jab kali par shabab aata hai

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
jab kali par shabab aata hai
nikhat-e-gul ko tab aata hai
der ho jae shaikh tauba mein
jald waqt-e-hisab aata hai


itni be-sudh hain dhadkanen meri
kya koi be-hijab aata hai
phir wo kahte hain dekh kar mujh ko
lo wo khana-kharab aata hai


nam baaton mein jab mera aae
rukh pe rang-e-gulab aata hai
do ghadi maut rok le koi
le ke qasid jawab aata hai


daur-e-furqat na puchhiye hum se
nind aae na khwab aata hai
jab bhi hota hun mai-kade dakhil
mujh pe daur-e-shabab aata hai


wo jo ho jaen ru-baru hum se
hum ko un se hijab aata hai
subh-dam us ka baam par aana
kakulen pech-o-tab aata hai


jab jabin-e-'khayal' jhuk jae
'arsh se mahtab aata hai
21991 viewsghazalEnglish