jab khule mutthi to sab padh len khat-e-taqdir ko ji mein aata hai mita dun hath ki tahrir ko jism sannate ke aalam se guzarta hi nahin be-hisi ne aur aur bojhal kar diya zanjir ko bahta dariya hai ki aaina-gari ka silsila dekhta rahta hun pani mein teri taswir ko subh-e-nau ne kat dale sham-e-zulmat ke hisar kis tarah roke koi kirnon ki ju-e-shir ko dhadkanon ki chap ruk jae to aae nind bhi sath le kar phir raha hun shor-e-dar-o-gir ko jab maani ka ujala hi na ho alfaz mein kyun karen raushni sukhan ki sham-e-be-tanwir ko dhund sae khauf gahri chup hawa ki be-rukhi kaise aalam mein chala hun dahr ki taskhir ko apni peshani pe shohrat ki lakiren khinch le apne sine se laga le katba-e-tashhir ko aks aaine se pahle tha to phir 'siddiqi' kyun khwab se pahle na dekha khwab ki tabir ko