jab kisi se wafa kare koi dekh kar kyon jala kare koi zindagi kyon ho waqf-e-dair-o-haram mai-kade bhi chala kare koi jab gham-e-zist se nibah na ho aarzu-e-qaza kare koi hijr mein tere ai pari-paikar kab tak aansu piya kare koi jab andhera ho chaar su 'ghamgin' dil jala kar chala kare koi