jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal yaad aata hai mujhe ek nazuk-andam-e-ghazal us harim-e-naz us khalwat-sara-e-raaz mein barha jazbaat ne bandha hai ehram-e-ghazal ek rashk-e-mah ka main kar raha hun tazkira aasman se kyun na ho uncha mera baam-e-ghazal mai-kada bhi gunj uttha shor-e-nosha-nosh se kis qadar hai kaif-awar ye mera jam-e-ghazal nau-ba-nau taza-ba-taza jalwa-e-shadab-e-husn kar sake kis tarah aakhir koi itmam-e-ghazal aks-e-zan ho jis ke dil mein partaw-e-rangin-e-yar kaun kah sakta hai 'najmi' us ko nakaam-e-ghazal dekhte hain gosha-e-chashm-e-haya se wo mujhe mil raha hai aaj 'najmi' mujh ko inam-e-ghazal