jab koi sina-e-girdab pe ubhra qatra

By jan-kashmiriSeptember 4, 2022
jab koi sina-e-girdab pe ubhra qatra
yaad aaya dil-e-pur-khun ke lahu ka qatra
chah kar tujh ko bhala kaise mile mera nishan
mil ke sagar mein dikhai nahin deta qatra


qatre qatre hi ka marhun hai dariya ka wajud
mujh se puchho to haqiqat mein hai dariya qatra
gham ke dozakh mein ye jal jal ke bana hai kundan
tab kahin ja ke meri aankh se tapka qatra


yun tere nam se rahat dil-e-muztar ko mili
halq mein jaise kisi pyase ke utra qatra
munhadim kar hi gaya shahr-e-ghariban ke makan
barsa hai abr-e-siyah ab ke jo qatra qatra


kis tarah mera adu madd-e-muqabil aae
ru-ba-ru 'jaan' kahan aag ke thahra qatra
24820 viewsghazalEnglish