jab mere jazbaat ko chhu kar guzar jati hai raat
By sajid-sajni-lakhnawiFebruary 28, 2024
jab mere jazbaat ko chhu kar guzar jati hai raat
aag si goya meri rag rag mein bhar jati hai raat
sab ye kahte hain ki baaton mein guzar jati hai raat
mujh ko tanha pa ke jaane kyon thahar jati hai raat
jab kabhi apni zarurat se nikal jati hun main
kumba walon mein mujhe badnam kar jati hai raat
sach to ye hai din-dahade jin ka hona hai muhaal
parde parde mein wo sare kaam kar jati hai raat
is nigodi ka to duniya se nirala hai chalan
phailti thandak se garmi se thithur jati hai raat

97222 viewsghazal • English