jab mere shahr-e-mohabbat mein wo aa jaega
By manzoor-ul-haq-nazirOctober 25, 2023
jab mere shahr-e-mohabbat mein wo aa jaega
dil mein jazbon ki nai jot jaga jaega
apne allah pe har lamha bharosa rakkho
gham ka tufan bahar-haal chala jaega
jis ne paigham mohabbat ka diya duniya ko
sare 'alam ka wo mahbub kaha jaega
har ghalat baat ki tashhir na ho paegi
sach bahar-haal sar-e-'am kaha jaega
chand lamhon ki mulaqat ka manzar mat puchh
kya khabar thi wo mere dil mein sama jaega
hosh ud jaega badh jaegi dil ki dhadkan
yak-ba-yak jab wo tere samne aa jaega
tirgi-e-gham-e-dauran se na ghabra 'nazir'
ye andhera bhi bahut jald chala jaega

13495 viewsghazal • English