jab meri man ki duaon ka asar bolta hai

By rashid-ansarFebruary 28, 2024
jab meri man ki du'aon ka asar bolta hai
tab kahin ja ke mera dast-e-hunar bolta hai
muddaton ba'd bhi honton pe tilawat hai wahi
aaj bhi maqtal-e-karbal mein wo sar bolta hai


khun ki har bund se teri hi sada aati hai
mujh mein bahte hue dariya ka bhanwar bolta hai
koi aahat hai na dastak na hawa ka jhonka
phir bhi viran haweli ka ye dar bolta hai


in parindon ne sikha di hai use apni zaban
in parindon ki tarah ab ye shajar bolta hai
mujh ko thakne hi nahin deta junun-e-manzil
thak ke baithun to mera shauq-e-safar bolta hai


ped ke sath lipat aur zara kan laga
yun lagega ki bada chup hai magar bolta hai
meri taid yahan kaun karega 'ansar'
shahr ka shahr tere zer-e-asar bolta hai


38658 viewsghazalEnglish