jab mujhe kaam ka bataya gaya

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
jab mujhe kaam ka bataya gaya
aur bhi mujh pe zulm dhaya gaya
aur to hum se kya kamaya gaya
tera gham tha so bech khaya gaya


us ka pahla sawal wapsi par
rasta kyon nahin sajaya gaya
ho chuke the bala ke hum tairak
jab hamein dubna sikhaya gaya


har ghazal ke jawab mein meri
ek bazaru git gaya gaya
tha koi raaz be-zabani ka
jis ko aawaz mein chhupaya gaya


chaq-o-chauband mujh ko rahna pada
mere itna qarib aaya gaya
51096 viewsghazalEnglish