jab mujhe rah se haTaya gaya
By shahzad-baigOctober 9, 2023
jab mujhe rah se hataya gaya
is qadar shor kyon machaya gaya
jis gali tak tha us ka naqsh-e-qadam
us gali tak bhi mera saya gaya
is qadar us ko mujh se nafrat thi
shahr-e-hasrat hi kyon basaya gaya
main kahan manta tha duniya ki
tera kah kar mujhe manaya gaya
sansani si badan mein phail gai
aaine ko main jab dikhaya gaya
mujh ko ai shahr teri galiyon mein
pa-ba-zanjir kyon phiraya gaya
hum ne kya dukh sahe zamane ke
pyas ko ashk se bujhaya gaya
main to duniya ko raund baitha tha
mujh mein kis shakhs ko jagaya gaya
mere sheron ka somras pi kar
mujh ko zahrab kyon pilaya gaya
us jagah phul hai na titli hai
jis jagah dil mera bichhaya gaya
mahram-e-ishq the kai 'shahzad'
zabt mera hi aazmaya gaya
is qadar shor kyon machaya gaya
jis gali tak tha us ka naqsh-e-qadam
us gali tak bhi mera saya gaya
is qadar us ko mujh se nafrat thi
shahr-e-hasrat hi kyon basaya gaya
main kahan manta tha duniya ki
tera kah kar mujhe manaya gaya
sansani si badan mein phail gai
aaine ko main jab dikhaya gaya
mujh ko ai shahr teri galiyon mein
pa-ba-zanjir kyon phiraya gaya
hum ne kya dukh sahe zamane ke
pyas ko ashk se bujhaya gaya
main to duniya ko raund baitha tha
mujh mein kis shakhs ko jagaya gaya
mere sheron ka somras pi kar
mujh ko zahrab kyon pilaya gaya
us jagah phul hai na titli hai
jis jagah dil mera bichhaya gaya
mahram-e-ishq the kai 'shahzad'
zabt mera hi aazmaya gaya
17404 viewsghazal • English