jab mulaqat karna paDti hai

By shahbaz-mehterFebruary 2, 2022
jab mulaqat karna padti hai
tab hamein raat karna padti hai
aap jaison ke pas aankhen hain
hamein to baat karna padti hai


wo mohabbat hui thi us ke sath
jo tere sath karna padti hai
sher kahta hun tere bare mein
par mujhe nat karna padti hai


us ko ghar se nikalne ke liye
rab ko barsat karna padti hai
kisi se phir kabhi na milna ho to
ek mulaqat karna padti hai


11599 viewsghazalEnglish