jab nazar jaan0b-e-asbab-e-fana karte hain

By munawwar-lakhnaviNovember 9, 2020
jab nazar jaan0b-e-asbab-e-fana karte hain
pahle hum apni taraf dekh liya karte hain
jin ko hai tauq-o-salasil ke taqazon ka shuur
wahi pabandi-e-ain-e-wafa karte hain


kash hum ko bhi bata den ye batane wale
chot lagti hai koi dil pe to kya karte hain
tarjumani ka wasila to hain dar-asl ye ashk
dil ke matlab ko hum aankhon se ada karte hain


tohmat-e-ishq kahan aur kahan ye masum
muft badnam 'munawar' ko kiya karte hain
32437 viewsghazalEnglish