jab pher kar nigah har apna paraya jae

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
jab pher kar nigah har apna paraya jae
mushkil ye hai ki aise mein kaun aazmaya jae
hum aag se darae hue log hain hamein
ek mehrban nadi ke kinare basaya jae


han tum wafa-parast ho bhuka hawas ka main
qasmen na khai jaen mujhe kuchh khilaya jae
bimar se to puchhiye us ko hai kis ka rog
chaaragari ke waste kis ko bulaya jae


donon hi apni kashtiyan zid mein jala chuke
behtar hai aise 'ishq ko ab bhul jaya jae
aana nahin hai jis ko nahin aaega kabhi
aankhen bichai jaen ki ab dil jalaya jae


55860 viewsghazalEnglish