jab se hasil ho gai hai yar ki yari mujhe
By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
jab se hasil ho gai hai yar ki yari mujhe
zindagi lagne lagi hai jaan se pyari mujhe
jab kabhi bhi gher legi koi lachaari mujhe
phir to jine bhi na degi meri khuddari mujhe
har qadam par sath main deta raha un ka magar
ras kuchh aai na phir bhi ye wafadari mujhe
jaante to sab hi the tu aadmi achchha nahin
phir bhi to karni padi teri taraf-dari mujhe
baat sach hai sach kahunga har ghadi har mod par
lakh aae zindagi mein chahe dushwari mujhe
rahmat-e-'alam ki sunnat par 'amal hai is liye
chhu ke bhi jati nahin hai koi bimari mujhe
ab haqarat ki nazar se dekhti hai zindagi
khud ki nazron mein gira degi ye nadari mujhe
roz-o-shab main ne lagae hain usi ta'lim par
tab kahin ja kar ye aai hai qalam-kari mujhe
pesh hona hai khuda ke ru-baru roz-e-jaza
'umr-bhar karni hai 'tariq' us ki tayyari mujhe

50333 viewsghazal • English