jab se humne bazuon mein zor paida kar liya

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
jab se hum ne bazuon mein zor paida kar liya
jism-o-jaan ki khamushi mein shor paida kar liya
ruh mein chamke 'ajab kuchh rang is barsat mein
hum ne bhi jangal mein apna mor paida kar liya


ho gaya tha jam' aankhon mein bahut khwabon ka mal
chashm-e-tar ki shakl mein ek chor paida kar liya
jangalon ko kat kar kaisa ghazab hum ne kiya
shahr jaisa ek aadam-khor paida kar liya


matla’-e-jaan har ghadi rahta hai abr-alud-e-she'r
hum ne ye baadal 'ajab ghanghor paida kar liya
ek khidki si khuli rakkhi hai duniya ki taraf
ek bada darwaza apni or paida kar liya


hum rahe 'ehsas' ji ke halqa-e-tadris mein
apne she'ron mein bala ka zor paida kar liya
80107 viewsghazalEnglish