jab se koi mera ham-safar ho gaya
By rizwan-aliFebruary 28, 2024
jab se koi mera ham-safar ho gaya
zindagi ka safar mo'tabar ho gaya
mo'tabar ho ke na-mo'tabar ho gaya
kis ki chahat mein main dar-ba-dar ho gaya
tum ne aane ki zahmat gawara jo ki
misl firdaus ke mera ghar ho gaya
mushkilen jis qadar raston ki badhin
aur aasan hamara safar ho gaya
jis pe bhi ho gaya us nazar ka karam
apni hi zat se be-khabar ho gaya
mujh ko dekha hai us ne kis andaz se
dil mein paiwast tir-e-nazar ho gaya
qafile ka har ek fard hai muntashir
gham na jaane kahan rahbar ho gaya
jab se ‘rizwan’ hua sahab-e-sim-o-zar
us ka jo 'aib tha wo hunar ho gaya
zindagi ka safar mo'tabar ho gaya
mo'tabar ho ke na-mo'tabar ho gaya
kis ki chahat mein main dar-ba-dar ho gaya
tum ne aane ki zahmat gawara jo ki
misl firdaus ke mera ghar ho gaya
mushkilen jis qadar raston ki badhin
aur aasan hamara safar ho gaya
jis pe bhi ho gaya us nazar ka karam
apni hi zat se be-khabar ho gaya
mujh ko dekha hai us ne kis andaz se
dil mein paiwast tir-e-nazar ho gaya
qafile ka har ek fard hai muntashir
gham na jaane kahan rahbar ho gaya
jab se ‘rizwan’ hua sahab-e-sim-o-zar
us ka jo 'aib tha wo hunar ho gaya
91666 viewsghazal • English