jab se main KHud ko kho raha hun

By ahmad-hameshOctober 23, 2020
jab se main khud ko kho raha hun
karwat badal ke so raha hun
ye jagna aur sona kya hai
aankhon mein jahan samo raha hun


duniya se ulajh ke sar par shayad
apni hi bala ko dho raha hun
ye lag aur lagaw kya hai
apna wajud hi dubo raha hun


ab tak jo zindagi hai guzri
kante nafas mein bo raha hun
hai kuchh to apni parda-dari
na jagta hun na so raha hun


itna hai khot mere man mein
pani mein dudh bilo raha hun
ai dil-figar be-sabaat hasti
teri hi jaan ko ro raha hun


jitni hai dur maut mujh se
itna hi qarib ho raha hun
shiraaza yun bikhar raha hai
khud mein tabah ho raha hun


kis raste par ja rahi hai duniya
ye dekh ke hi to ro raha hun
jaane 'hamesh' khud ko kab se
be-wajh lahu mein dubo raha hun


13554 viewsghazalEnglish