jab se sane ne banaya hai jahan ka bahrup

By mushafi-ghulam-hamdaniNovember 9, 2020
jab se sane ne banaya hai jahan ka bahrup
apni nazron mein hai sab kaun-o-makan ka bahrup
main gaya bhes badal kar to laga yun kahne
chal be laya hai mere aage kahan ka bahrup


chand tare hain ye kaise ye shab o roz hai kya
kuchh samajh mein nahin aata hai yahan ka bahrup
chashm-e-bina hon to dadhi ki do-rangi samjhen
ek chehre pe hai ye pir o jawan ka bahrup


pahne jate hain kai rang ke kapde din mein
kya kahun hae ghazab hai ye butan ka bahrup
bagh mein turra-e-sumbul ki pareshani se
saf nikla tere shorida-saran ka bahrup


'mushafi' sang se kya ukhde hai pashm us ki bhala
sau tarah se ho jise yaad zaban ka bahrup
32272 viewsghazalEnglish