jab se surat wo KHwab mein aai
By adil-mustaqueemJanuary 1, 2024
jab se surat wo khwab mein aai
zindagi iztirab mein aai
chhup gaya mahtab sharma kar
shokhi jab us shabab mein aai
abr kya chiz hai samajh aaya
mah-jabin jab hijab mein aai
ek du'a 'umr-bhar kari hum ne
sun ke qudrat bhi tab mein aai
'umr-bhar ki ‘ibaadaten de din
tab wo mere hisab mein aai
us ke aaghosh mein panah mili
zindagi jab 'azab mein aai
hai charaghan dil-o-rag-e-jaan mein
tu jo khana-kharab mein aai
zindagi iztirab mein aai
chhup gaya mahtab sharma kar
shokhi jab us shabab mein aai
abr kya chiz hai samajh aaya
mah-jabin jab hijab mein aai
ek du'a 'umr-bhar kari hum ne
sun ke qudrat bhi tab mein aai
'umr-bhar ki ‘ibaadaten de din
tab wo mere hisab mein aai
us ke aaghosh mein panah mili
zindagi jab 'azab mein aai
hai charaghan dil-o-rag-e-jaan mein
tu jo khana-kharab mein aai
28732 viewsghazal • English