jab se tu bad-guman hai pyare ek musibat mein jaan hai pyare dil lagana mazaq samjhe ho sakht ye imtihan hai pyare dil ki rudad kya kahun tum se khun-chakan dastan hai pyare baat karte hi phul jhadte hain wah-wa kya zaban hai pyare nahin rahti kisi ki shan mudam ye khuda hi ki shan hai pyare tum bhala kyon kisi pe zulm karo fitna-gar aasman hai pyare sar-e-mahfil wo mujh se bole 'qadir' khub tarz-e-bayan hai pyare