jab shahr-e-dil mein pad gae us zar-badan ke panw padte nahin zamin pe ab is chaman ke panw wo kaun aaj raaton mein ghar se nikal pada uthne lage hain shahr ki samt aaj ban ke panw lao to dho dun ashk se wo panw main zara teri gali se aae hain us barhaman ke panw kahta hun dil mein aane ko aata nahin hai wo rakhta nahin hai sil pe wo apne sanam ke panw aaya to dil mein baith gaya ban ke dewta utthe nahin hain 'ishq-e-dil-e-but-shikan ke panw ‘irfan-e-'ishq tod de zanjir-e-fe’l ko ruk jaen apne aap hi aawagawan ke panw ab tak hai qalb-e-'shams' se raushan ye khalq bas ek bar pad gae the jo sho’la-badan ke panw sare tamaddunon ka hai khatre mein ab wajud thamte nahin hain par kabhi gang-o-jaman ke panw