jab tak mere honton pe tera nam rahega dil be-khabar-e-gardish-e-ayyam rahega mit jaega har naqsh-e-khayal-e-gham-e-hasti lekin waraq-e-dil pe tera nam rahega kyun dar hai gunahon ke sabab hashr ke din se hum jaante hain un ka karam aam rahega paigham to aaenge bahut dair-o-haram se lekin teri chaukhat se mujhe kaam rahega mai-khana salamat hai agar teri nazar ka labrez ma-e-ishq se har jam rahega daman hai agar tera mere dast-e-talab mein aaghaz se behtar mera anjam rahega jaegi na dil se tere aariz ki mohabbat zulfon ka tasawwur mujhe har sham rahega aankhen hi nahin teri 'fana' did ke qabil tu jalwa-gah-e-yar mein nakaam rahega