jab talak KHak mein mila na diya
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jab talak khak mein mila na diya
us ne apna koi pata na diya
aur phir udne wale logon ne
chalne walon ko rasta na diya
khak hota na main to kya karta
teri chaukhat ne rasta na diya
yaad main ne nahin kiya khud ko
us ne jab tak mujhe bhula na diya
jeb khali thi aur khali rahi
main ne duniya se kuchh liya na diya
dam larazta raha labon pe mere
dhyan us ne magar zara na diya
mitti sab chaak mein laga di meri
kuza-gar ne mu’awza na diya
us ne apna koi pata na diya
aur phir udne wale logon ne
chalne walon ko rasta na diya
khak hota na main to kya karta
teri chaukhat ne rasta na diya
yaad main ne nahin kiya khud ko
us ne jab tak mujhe bhula na diya
jeb khali thi aur khali rahi
main ne duniya se kuchh liya na diya
dam larazta raha labon pe mere
dhyan us ne magar zara na diya
mitti sab chaak mein laga di meri
kuza-gar ne mu’awza na diya
83810 viewsghazal • English