jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai tirgi lakh ho imkan-e-sahar baqi hai kis ke jalwon ka ye aankhon mein asar baqi hai husn baqi hai na ab husn-e-nazar baqi hai ye bhi ek moajiza-e-josh-e-junun hai ki nahin pa-shikasta hun magar azm-e-safar baqi hai ye bhi kiya nazm-e-jahan hai ki azal se ab tak bas wahi silsila-e-sham-o-sahar baqi hai aaj yun aabla-payan-e-junun guzre hain ek charaghan sa sar-e-rah-guzar baqi hai main khizan-dida-o-awara sahi phir bhi 'surur' mere naghmon mein bahaaron ka asar baqi hai