jab talak tir tera aawe hai nakhchir talak le ye nakhchir hi aa pahuncha tere tir talak dast-o-pa mare bahut chah-e-zanakh mein dil ne hath lekin na gaya zulf ki zanjir talak shukr-sad-shukr ki uqde yun hi hal hote gae kaam pahuncha na hamara kabhi tadbir talak us ki surat ka diwana hun ki jis ka khat-o-khal na gaya mani-o-bahzad ki tahrir talak hai yahi shauq shahadat ka agar dil mein to ishq le hi pahunchega hamein bhi teri shamshir talak ek musalman ka ji jata hai ulfat mein teri ja kahe koi ye us kafir-e-be-pir talak jab talak zar hai to sab koi hai phir koi nahin sach hai makkhi bhi rahe hai shakar-o-shir talak is tarah baith gaya khana-e-dil mera ki bas kaam phir us ka na pahuncha kabhi tamir talak khun ho ho ke tapakta hai ye sau rang se dil ta kisi rang mein pahunche teri taswir talak main bhi ek mani-e-pechida ajab tha ki 'hasan' guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak