jab teri zat ko phaila hua dariya samjhun

By farhat-abbasOctober 29, 2020
jab teri zat ko phaila hua dariya samjhun
khud ko bhigi hui raaton mein akela samjhun
nam likkhun main tera dur khalaon mein kahin
aur har lafz ko phir chand se pyara samjhun


yaad ki jhil mein jab aks nazar aae tera
aankh se ashk bhi tapke to sitara samjhun
dastaken deta raha raat jo galiyon mein use
zehn aawara kahun nind ka mara samjhun


wo jo aa jaen mere pas to un ko 'farhat'
dukh ki badhti hui baraat ka dulha samjhun
72829 viewsghazalEnglish