jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the main usi din se akela hun ki jab tum aae the aag bhadki jab to main ye sochta hi rah gaya kaghzi kapde mujhe kis wahm ne pahnae the jaane kis ne hum ko suraj se kiya tha munharif jaane kis ne dhup mein wo aaine chamkae the aasmanon se hua tha nur-o-nuzhat ka nuzul aabshaar unche pahadon se utar kar aae the manzaron mein thi mere husn-e-nazar se aab-o-tab pattharon ke dil mere ehsas ne dhadkae the aas ke sae mein hum sahte rahe kaisa azab aag thi qadmon-tale aur sar pe baadal chhae the dhup mein phaila diye kyun tum ne yaadon ke gulab kya isi din ke liye mujh se ye khat likhwae the