jab uski taraf se koi patthar nahin aata

By haris-bilalFebruary 6, 2024
jab us ki taraf se koi patthar nahin aata
jo bojh mere dil pe hai mujh par nahin aata
dariya hun aur ek 'umr se bahne mein laga hun
lekin mere hisse mein samundar nahin aata


tum laut ke aae bhi to us dil mein ki jis mein
guzra hua mausam bhi palat kar nahin aata
hathon ki lakiren kahin le kar nahin jatin
uljhe hue raston mein kabhi ghar nahin aata


ya'ni tere hote hi wo ta'mir hua hai
rasta koi us shahr se bahar nahin aata
is dil se alag to nahin is aankh ka hona
kya shakh se phal gir ke zamin par nahin aata


ek khwab haqiqat mein badalta nahin 'haaris'
ek dard tere hijr ke andar nahin aata
44232 viewsghazalEnglish