jab wo khiDki se jhankta hoga

By farooq-noorFebruary 6, 2024
jab wo khidki se jhankta hoga
chand baadal mein chhup gaya hoga
phul aangan mein khil uthe honge
mor shakhon pe bolta hoga


dekh ke zulf-e-‘ambari us ki
abr kaisa baras pada hoga
us ki rangat ne sare kamre ko
nur hi nur kar diya hoga


khushbuen aap bichh gai hongi
us ka bistar laga diya hoga
nind aankhon pe chha gai hogi
aur badan sara tutta hoga


istirahat ki sarhadon se pare
ab wo ghaflat mein so raha hoga
raat-rani mahak uthi hogi
jab wo karwat badal raha hoga


chhedti hogi ab nasim-e-sahar
ab wo khwabon se jagta hoga
apna chehra nihaarne ke liye
wo muqabil ba-aina hoga


dekh kar husn-e-be-baha apna
khud hi sharmata jhenpta hoga
jhadte honge gulab honton se
jab kisi se wo bolta hoga


phul rahon mein bichh gae honge
ab wo ghar se nikal raha hoga
aur khiraman khiraman rakh ke qadam
mere ghar ki taraf badha hoga


dil achanak dhadak utha hai mera
ab wo nukkad tak aa gaya hoga
aur nukkad pe mere ghar ka pata
mere dushman se puchhta hoga


koi jae ki us ko le aae
wo pareshan ho raha hoga
us ki pahchan main batata hun
husn hi husn sar-ta-pa hoga


wo hai jaan-e-bahaar jaan-e-'nur'
nam to aap ne suna hoga
81389 viewsghazalEnglish