jab zamir-o-zarf ke saude na the

jab zamir-o-zarf ke saude na the
yun sar-e-bazar hum bikte na the

muflisi aansu bahati rah gai
bhuk thi bazar tha paise na the

kuchh bharam rakhne ko rakhte rabta
go ki paiman-e-wafa sachche na the

kis mein jurat thi lagata boliyan
hum kabhi bazar mein saste na the

wo uthate kis liye dushwariyan
mere ghar tak marmarin raste na the

waqt ne kitna badal dala mizaj
aaj hum jaise bhi hain aise na the

kuchh to hai 'ajmal' khamoshi ka sabab
aap afsurda kabhi rahte na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close